एयरटेल पेमेंट बैंक में पैसे कैसे डाले | how to add money in airtel payment bank

 Hello friends aaj ke is post me ham aapko batane ja rahe hai airtel payment bank me paise kaise dale, how to add money in airtel payment bank. agar aapne apna account airtel payment me open kiya hai aur usme paise deposit karna chahte hai, to yah kaam online hi aasani se kar sakte hai. joki iske liye bahut sare tarike hai.

 Un tariko me aap UPI id ke through kar sakte hai, debit card credit card atm card se kar sakte hai, sath net banking ke madhyam se bhi kar sakte hai to aapko jo bhi tarika accha lagta hai, ya jo bhi chije aapke paas vailable hai us method se aasani se paise add kar sakte hai. to chaliye aapko iski puri jankari details me bata rahe hai.


एयरटेल पेमेंट बैंक में पैसे कैसे डाले (how to add money in airtel payment bank)

  1. To iske liye sabse pahle aapko airtel thanks app open kar lena hai.
  2. app open karne ke baad upar right side me dekhenge airtel payment bank icon hoga jispar click karna hai.
  3. Iske baad aage add money pahle se select hoga jise aapko dobara select karne ki jarurat nahi.
  4. To yaha niche me dekhenge kuch amount pahle se diya hoga jaise - 100, 200, 500 to inme se koi payment add karna hai to is par click kare.
  5. Ya fir inke alawa koi aur payment add karna hai jaise 50, 150, 600, 1000 ya jobhi to uske liye other par click karke amount type kar sakte hai.
  6.  Ab aage payment add karne ke liye option honge jaise upi, debit card credit card, atm card ka.
  7. To aap google pay, paytm, bhim, icici ka wallet app use karte hai to aapka upi to jarur hoga to uske liye aap upi par click karke koi app ko select kare.
  8. Aur iske baad apne us app ka 4 digit mpin ko enter kare iske aad aapka payment successfully add ho jayega.
  9. Iske alawa apne atm debit card se paise add karne ke liye aap niche debit credit atm card wale option par click kare.
  10. Iske baad aage apne atm card ka number type kare jo card ke upar likha rahta hai.
  11. Fir card me jo name hoga ya jiske name par hai wo type kare.
  12. Fir atm card ki expiry date enter kare jo card ke upar hi likha rahta hai.
  13. Iske baad cvv number enter kare yah card ke piche bich me likha hota hai jo 3 number ka hota hai.
  14. Ab pay now par click karne ke aapke mobile number par otp ayega jise enter karne ke baad payment successfully add ho jayega aapke airtel payment bank account me.


Airtle payment bank me paise kaise add karna hai iske liye aap yah video bhi dekh sakte hai.




 Ye bhi padhe : 







To is tarah se aap upi id aur debit credit atm card ke jariye airtle payment bank account me paise daal sakte hai joki bahut hi aasan hai, fir bhi koi problem aati hai to hame comment karke puch sakte hai, 

Comments

Popular posts from this blog

Bank of baroda balance check by miss call/ mini statement number | बैंक ऑफ़ बड़ौदा अकाउंट बैलेंस चेक कैसे करे मिस कॉल से