Airtel payment bank account kaise khole (how to open airtel payment bank account)

Hello friends aaj ke is post me mai aapko batane wala hu एयरटेल पेमेंट बैंक खाता कैसे खोलें. jaisa ki aap jante hai airtel ek telecom company hai, jo sim service provide karti hai, aur ho sakta hai aapka iska sim bhi use karte honge, to yah india ki dusri sabse badi telecom service hai. to airtel ne ab apna bank bhi launch kar diya hai. jiska name airtel payment bank hai.

Yaha par bhi aap dusre other bank ki tarah saving account open kar sakte hai, paise rakh sakte hai, paise pe interest le sakte hai, kisi ko paise bhej sakte hai, to yah bhi baki banko ki tarah hi kaam karti hai. to aap airtel payment bank me khata kholna chahte hai to yaha ham uski jankari bata rahe hai.


Airtel payment bank me khata kholne ke liye kya kya chahiye

To yaha par bhi aapko baki dusre banko ki tarah id proof dena padta hai jaise pan card, aadhaar card, voter card etc. aur ek airtel ka number.


Airtel payment bank me account kaise khole 

  1. To iske liye first aapko airtel thanks app ko google play store se download install kar lena hai agar aapke mobile nahi hai to.
  2. Iske baad aapko apne airtel number se log in karna hai.
  3. Ab app ke home page me niche pay par click karna hai
  4. Iske baad aage aapko open an airtel money wallet ko par click karna hai.
  5. Ab aapko yaha par apni name, last name jaisi sabhi details hogi use compelte karna hai.
  6. Ab aage aapko apna mpin banana hai 4 digit ka. joki aapko yad bhi hona chahiye.
  7. Iske baad otp ayega aur aapka wallet activate ho jayega.
  8. Ab fir se app ke home page me aa jana hai aur niche more par click karna hai.
  9. Fir banking par click karna hai.
  10. Fir bank home option hoga uspe click karna hai.
  11. Fir aapko view profile par click karna hai.
  12. Ab yaha pe open bank account pe click karna hai.
  13. Iske baad get started par click karn hai
  14. Fir apna aadhaar card, aur pan card ka number daalna hai.
  15. Fir otp enter kar next par click karna hai.
  16. To is tarah ab aapka airtel payment bank me account open ho jayega aage aap kyc kar apna transaction limit badha sakte hai.
Agar aapko airtel peyment bank account kholne me koi problem ho rahi hai to uske liye aap niche diye hue video ko dekh sakte hai usme puri jankari batayi gayi hai.



Ye bhi padhe :






Watch video:




To friends i hope yah jankari aapko acchi lagi ho to ise social media par share jarur kare, aur aise hi banking information ke liye hamare blog par visit karte rahe.

Comments

Popular posts from this blog

Bank of baroda balance check by miss call/ mini statement number | बैंक ऑफ़ बड़ौदा अकाउंट बैलेंस चेक कैसे करे मिस कॉल से