एयरटेल पेमेंट बैंक से पैसे कैसे निकाले | how to withdraw money from airtel payment bank

 Hello friends aaj ke is post me ham aapko batane ja rahe airtel payment bank se paise kaise nikale. how to withdraw money from airtel payment bank. dost iske liye aapke paas 3 method hai pahla tarika jo hai usme aap aaadhaar card ke jariye nikal sakte hai. aur dusre tarike me aap airtel thanks app aur atm machine ki help se nikal sakte hai, aur tisre tarike me aap bank me transfer karke bhi nikal sakte hai.

To agar aap airtel payment bank ka istemal karte hai aur isme apna account register kiye hai, aur paise bhi add kar liye hai ya fir add karne se pahle paise kaise nikale iske bare me janana chahte hai to yaha ham uski puri jankari bata rahe hai.


एयरटेल पेमेंट बैंक से पैसे कैसे निकाले (how to withdraw money from airtel payment bank)

First Method - Aadhaar card 

  1. To friends is tarike me aap apne aadhaar card ke jariye airtel payment bank ka paisa nikal sakte hai.
  2. iske liye aapko kisi bhi airtel payment bank banking point me jana hai aur apne aadhaar ke madhyam se aasani se paise nikal sakte hai.
  3. lekin is tarike me aapko aapse kuch charge liye jate hai.
  4. airtel payment bank banking point ke alawa aap kisi bhi csc center ya biometric deivce jaha avialabe ho jaise internet cafe to waha se bhi paise withdraw kar sakte hai.
  5. airtle payment bank se aap minimum 10 rupaye aur maximum 25000 tak nikal sakte hai.

Second Method - ATM Machine

  1. Sabse pahle aapko apne mobile me airtel thanks app ko open kar lena hai.
  2. Iske baad app me more option hoga uspar click karna hai.
  3. Iske baad atm withdraw wale option par click karna hai.
  4. Aage aapko self cardless withdraw option par click karna hai.
  5. Iske baad jitna amount nikalna utna yaha pe type kare fir confirm par click kare.
  6. Ab aage apna mpin enter karna hai.
  7. Iske baad aapke mobile par 3 alag alag otp code ayega jise aapko atm me use karna hai.
  8. Ab aapko us bank ke atm me jana hai jaha cardless withdraw ka option milta hai jaise - hdfc, icici, punjab, axis.
  9. To atm me jane ke baad dekhe waha pe screen me niche cardless withdraw likha hoga usar click kare.
  10. Aage apna mobile number enter karna hai jo airtel payment bank se likn ho.
  11. Ab aapko amount dalna hai jitna aapne airtel payment bank me dala tha.
  12. Ab yaha pe aapko sender otp code enter karna hai jo aapke mobile 3 otp code aya hoga usme se ek hoga.
  13. Iske baad otp code jo aya tha use yaha pe enter karna hai.
  14. To iske baad apka paisa atm se withdraw ho jayega. 


Airtel payment bank money ko atm se kaise withdraw karna hai iske liye aap yah video bhi dekh sakte hai.



Third Method - Bank Transfer

Friends bank transfer wale process me aapko airtel thanks app ke alawa airtel Airtel Merchant app ki jarurat padegi jise aap google play store app se install kar sakte hai, aur uske baad apna paisa is app ke through apne dusre bank account ya kisi aur ke bank account me transfer kar nikal sakte hai. to iske bare me puri details janane ke liye niche video ko dekhe.



 Ye bhi padhe : 






To is tarah se aap 3 method se apne airtel payment bank ka paise aasani se nikal sakte hai. agar aapko isme koi problem aati hai to hame comment karke puch sakte hai, aur is post ko social medea par share jarur kare.

Comments

Popular posts from this blog

Bank of baroda balance check by miss call/ mini statement number | बैंक ऑफ़ बड़ौदा अकाउंट बैलेंस चेक कैसे करे मिस कॉल से